اردو हिंदी
Kun-fayakun ka hasil yani miTTi aag hawa aur pani | Shaahi Shayari
kun-fayakun ka hasil yani miTTi aag hawa aur pani

Ghazal

Kun-fayakun ka hasil yani miTTi aag hawa aur pani

Ahmad Shahryar

;

kun-fayakun ka hasil yani miTTi aag hawa aur pani
pal mein baqa ka pal mein fani miTTi aag hawa aur pani

nagri nagri phirti hain ye diwaren bhi sath hi mere
karte hain meri nigrani miTTi aag hawa aur pani

KHak-basar hun shola-ba-jaan hun aah-kunan hun ashk-fishan hun
dekh tu apni karistani miTTi aag hawa aur pani

mera kya hai mar jaunga chaaron or bikhar jaunga
aap kahan jaenge jaani miTTi aag hawa aur pani

main kabhi shoala hun kabhi shabnam gahe zaKHm to gahe marham
karte hain mujh mein khincha-tani miTTi aag hawa aur pani

main aaina dekh raha hun lekin ye kya dekh raha hai
mera aks pas-e-hairani miTTi aag hawa aur pani

ishq ki nisbat se hain zinda sahra suraj baadal dariya
ishq nahin to sab be-mani miTTi aag hawa aur pani