kuja hasti bata de tu kahan hai
jise kahte hain bismil nim-jaan hai
hamara ghar hai yani KHana-e-mast
mahal hi kaKH hai koshak makan hai
chacha am hai pisar beTa pidar bap
to kumba KHanuman-o-dudaman hai
safina naw kashti ban mallah
bahe pani to wo aab-e-rawan hai
batao aag kya hai nar-o-atish
dhuan kya chiz hai do-dud-o-KHan hai
jise kahte ho tum gardun-e-gardan
falak charKH-o-siphar-o-asman hai
wahi jannat ki jis ki aarzu hai
naim-o-KHuld-o-firdaus-o-jinan hai
suna kijiye hikayat hai kahani
kaha kijiye fasana dastan hai
mera sar ras hai matha jabin hai
mere munh mein zaban hai jo lisan hai
kaho tum jo taraazu hai so mizan
suno tum aazmaish imtihan hai
hajar patthar hai aur qirtas kaghaz
subuk halka hai aur bhaari giran hai
asa laThi alam neza sinan bhaal
jise hum qaus kahte hain kaman hai
nihan-o-musatatar poshida maKHfi
jo bariz hai to zahir hai ayan hai
agar jaano ho tum rewaD ko galla
to charwaha bhi rai aur shaban hai
kaha karte hain shair ko suKHan-dan
jo bhedi hai to mahram raazdan hai
humanja aamdam jae ki hasti
wahin aaya hun main bhi tu jahan hai
yahi kaun-o-makan duniya hai aalam
ye hi geti hi gihan hai jahan hai
Ghazal
Kuja hasti bata de tu kahan hai
Ismail Merathi