اردو हिंदी
Kufr se ye jo munawwar meri peshani hai | Shaahi Shayari
kufr se ye jo munawwar meri peshani hai

Ghazal

Kufr se ye jo munawwar meri peshani hai

Zafar Iqbal

;

kufr se ye jo munawwar meri peshani hai
zahir is se bhi mera jazba-e-imani hai

ye jo yaksui mayassar hai mujhe sham o sahar
sar-ba-sar mere liye wajh-e-pareshani hai

is kinare pe faqat main hun akela KHali
nahr ke dusri jaanib meri hairani hai

KHak uDti hai to har-su mere andar warna
jis taraf main hun wahan chaaron taraf pani hai

jo siyah-fam hai andar ki taraf se jitna
us ke chehre pe yahan utni hi tabani hai

mausamon se abhi mayus nahin hun yaksar
ek hawa hai jo abhi meri taraf aani hai

dil mein kya surat-e-haalat hai khulta nahin kuchh
kya kami hai yahan kis shai ki farawani hai

ye ajab tarha ka bazar-e-suKHan hai ki jahan
main hi nayab hun aur meri hi arzani hai

aazmaish mein hi rakhta hun sada KHud ko 'zafar'
meri mushkil hi sarasar meri aasani hai