اردو हिंदी
Kufr momin hai na karna dil-baran se iKHtilat | Shaahi Shayari
kufr momin hai na karna dil-baran se iKHtilat

Ghazal

Kufr momin hai na karna dil-baran se iKHtilat

Wali Uzlat

;

kufr momin hai na karna dil-baran se iKHtilat
kar liya kabe ne bhi kai din butan se iKHtilat

banda us bulbul ka hun jo bu-e-gul ke waste
garm rakkhe hae har KHar-e-KHizan se iKHtilat

KHaksaron ki hai ulfat rahrawan-e-ishq se
jaise gard-e-rah ka hai karwan se iKHtilat

kyun na howe puKHta o bar-jasta raushan dil ka sher
dud o shoale sa suKHan ko hai zaban se iKHtilat

dil-shikan ke waste dast-e-dua 'uzlat' uThae
jaise ghunche ka nasim-e-gulsitan se iKHtilat