kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intiha mein hai
jis but ko dekhta hun wo yaad-e-KHuda mein hai
aashiq hai jo ki jama-e-sidq-o-safa mein hai
mashuq hai jo parda-e-hilm-o-haya mein hai
aalam hai mast sajda-e-jaanan mein ta-abad
masti bala ki baada-e-qalu-bala mein hai
iman hai aks-e-ruKH to hai gesu ka aks-e-kufr
wo kaun chiz hai jo teri ma-siwa mein hai
abru ke mahw kabe mein surat ke dair mein
ushshaq ruKH ka silsila nur-o-ziya mein hai
be-jalwa-gah-e-yar kahan ye ruju-e-KHalq
bahs-e-fuzul barhaman-o-parsa mein hai
juya hai bas ki aariz-o-gesu-e-yar ka
paband shaiKH sajda-e-subh-o-masa mein hai
raftar moajaza hai to hai sehr chaal mein
shoKHi ajab tarah ki tere naqsh-e-pa mein hai
teri taraf ko muslim o kafir ki hai ruju
puja mein barhaman hai to zahid dua mein hai
maqtul lakhon ho chuke shaeq hazar-ha
lazzat ajib yar ki tegh-e-jafa mein hai
ek pech-o-KHam mein gabr-o-musalman hain mubtala
wusat bala ki yar ki zulf-e-rasa mein hai
'bahram' aashiqana ghazal ek aur bhi
quwwat abhi bahut teri fikr-e-rasa mein hai
Ghazal
Kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intiha mein hai
Bahram ji