kuchh yaqin rahne diya kuchh wahima rahne diya
soch ki diwar mein ek dar khula rahne diya
kashtiyan sari jala Dalin ana ki jang mein
main ne bhi kab wapsi ka rasta rahne diya
main ne har ilzam apne sar liya is shahr mein
ba-wafa logon mein KHud ko bewafa rahne diya
ek nisbat ek rishta ek hi ghar ke makin
waqt ne donon mein lekin fasla rahne diya
jagti aankhon mein kaise KHwab ki tabir thi
umr bhar jis ne kisi ko sochta rahne diya
ek sae ka taaqub kar raha hun aaj tak
KHud ko kaisi ibtila mein mubtala rahne diya
wo meri rahon mein diwaren khaDi karta raha
main ne honTon par faqat harf-e-dua rahne diya
pyar mein ab nafa o nuqsan ka kya sochna
kya diya us ko aur apne pas kya rahne diya
apni kuchh baaten dar-e-izhaar tak aane na din
band kamre hi mein dil ko chiKHta rahne diya
phir na dastak de saka 'afaq' koi us ke baad
nam us ka dil ki taKHti par likha rahne diya
Ghazal
Kuchh yaqin rahne diya kuchh wahima rahne diya
Zahid Afaq