kuchh us ne socha to tha magar kaam kar diya tha
jo mere KHwabon ko itne rangon se bhar diya tha
ghubar mein bhig si gai thi faza kisi ne
ruki hui raat ko wo rang-e-sahar diya tha
isi ke andar thi sari pechidgi ki us ne
kahan khaDa tha main aur ishaara kidhar diya tha
chalo is asna mein meri aankhen to khul gai hain
kabhi jo us ne mujhe fareb-e-nazar diya tha
kisi bhi din baiTh kar ye duniya hisab kar le
ki mujh se kitna liya hai aur kas qadar diya tha
main kar sakun sab ke samne apni aib-jui
ye dene wale ne KHas mujh ko hunar diya tha
isi mein tha Dubna ubharna mera muqaddar
lahu ke andar mujhe ek aisa bhanwar diya tha
jo dhup ki aag us ne barsai thi zamin par
to chhanw mein baiThne ki KHatir shajar diya tha
ye us ki marzi ki le liya hai usi ne wapas
'zafar' meri shaeri ko jis ne asar diya tha
Ghazal
Kuchh usne socha to tha magar kaam kar diya tha
Zafar Iqbal