kuchh un ki jafa un ka sitam yaad nahin hai
ghamgin hun lekin koi gham yaad nahin hai
dil-dada-e-asnam hai fitrat meri lekin
tha sath kabhi koi sanam yaad nahin hai
apnon ki inayat ka mamnun hun aisa
ghairon ka mujhe koi sitam yaad nahin hai
paya hai nishan jab se teri rahguzar ka
kaisi hai rah-e-dair-o-haram yaad nahin hai
laya hai kahan ye gham-e-ayyam 'farid' ab
baKHsha tha kabhi us ne bhi gham yaad nahin hai
Ghazal
Kuchh unki jafa un ka sitam yaad nahin hai
Fareed Ishrati