kuchh to wufur-e-shauq mein bais-e-imtiyaz ho
meri nazar ke samne un ki harim-e-naz ho
soz-e-durun-o-ah-e-dil ishq mein donon ek hain
hum ko to ek surur hai soz ho ya ki saz ho
wo dil nazara-kosh tera ye zauq-e-be-KHudi
jalwe ki tab ho na ho un ki harim-e-naz ho
naz hai shauq-e-afrin shauq hai shorish-e-dimagh
husn hai aarzu-pasand ishq junun-nawaz ho
zauq-e-talab ko ishq ne turfa sabaq ye de diya
nala-e-dil-KHarash ban aah-e-jigar-gudaz ho
dil ki taDap mein ai KHuda kuchh to ho zauq-e-afiyat
dard wo de jo ishq mein bais-e-imtiyaz ho
'farhat'-e-arzu-pasand dars-e-niyaz-e-ishq ne
kucha-e-marifat mein aa shefta majaz ho
Ghazal
Kuchh to wufur-e-shauq mein bais-e-imtiyaz ho
Farhat Kanpuri