kuchh to sachchai ke shahkar nazar mein aate
kash hum log na KHwabon ke asar mein aate
hum ne is KHauf se KHakon ko mukammal na kiya
sham ke rang bhi taswir-e-sahar mein aate
jab ki har rauzan-e-diwar namak-dan Thahra
kaise majruh ujale mere ghar mein aate
soe-panghaT pe jami barf pighal sakti thi
pyase suraj to kabhi mere nagar mein aate
ajnabiyat ke darichon mein khuli thin aankhen
kis ke sae mere KHwabon ke khanDar mein aate
Ghazal
Kuchh to sachchai ke shahkar nazar mein aate
Jamuna Parsad Rahi