kuchh to mushkil mein kaam aate hain
kuchh faqat mushkilen baDhate hain
apne ehsan jo jatate hain
apna hi martaba ghaTate hain
sabr se intizar karna sikh
achchhe din aate aate aate hain
faslon se gurez kya karna
fasle qurbaten baDhate hain
kuchh to bar-e-nazar bhi hote hain
sare manzar kahan lubhate hain
wo jo rahte hain be-hawas aksar
hadson ko wahi bulate hain
koi ustad kya sikhaega
jo sabaq sanehe sikhate hain
jab wo milne se kuchh gurez kare
wahime dil mein kasmasate hain
sari yaaden to KHush-gawar nahin
talKH lamhe bhi yaad aate hain
dil mein hota hai wajd ka aalam
tan wo dal se jab lagate hain
yaad ek hir ki satati hai
bansuri jab kabhi bajate hain
naghme gate the jo masarrat ke
aaj kal marsiye sunate hain
baat ki baat hi ise kahiye
qahqahe dard-o-gham miTate hain
kam hi ab rah gae hain jo 'rashid'
dard ki mahfilen sajate hain

Ghazal
Kuchh to mushkil mein kaam aate hain
Mumtaz Rashid