اردو हिंदी
Kuchh to mujhe mahbub tera gham bhi bahut hai | Shaahi Shayari
kuchh to mujhe mahbub tera gham bhi bahut hai

Ghazal

Kuchh to mujhe mahbub tera gham bhi bahut hai

Fazl Ahmad kariim Fazli

;

kuchh to mujhe mahbub tera gham bhi bahut hai
kuchh teri tawajjoh ki nazar kam bhi bahut hai

ashkon se bhi khulta hai wo dil jo hai girafta
kaliyon ke liye qatra-e-shabnam bhi bahut hai

hum KHud hi nahin chahte sayyaad se bachna
sazish nigah-o-dil ki munazzam bhi bahut hai

hai rishta-e-duzdida-nigahi bhi ajab shai
qaem ye hawa par bhi hai mohkam bhi bahut hai

Dhae dil-e-nazuk pe bahut us ne sitam bhi
phir lutf ye hai mujh pe wo barham bhi bahut hai

ye turfa-tamasha hai kiya qatl bhi mujh ko
aur phir mere marne ka unhen gham bhi bahut hai

paDte hain sitamgar ke zara war bhi ochhe
aur 'fazli'-e-bismil mein zara dam bhi bahut hai