kuchh to mohabbaton ki wafaen nibhaun main
shadab barishon ki hawaen nibhaun main
itne qarib aao badan bhi sunai de
guzre dinon ki narm sadaen nibhaun main
dil bhi to chahta hai ki sabza kahin khile
banjar zamin pe kali ghaTaen nibhaun main
dariya ki lahr pyase kinaron ko saunp dun
masum aarzu ki KHataen nibhaun main
shadab ho bhi sakte hain chehre nasib ke
phailaun hath aur duaen nibhaun main
rah jae kuchh to jalte badan par use rakhun
har lamha KHushbuon ki qabaen nibhaun main
manzur ho tumhein to mohabbat ke nam par
masum KHwahishon ki sazaen nibhaun main
ta-umr zindagi ko nibhana muhaal hai
kuchh roz sadgi ki adaen nibhaun main
kholun na raushni ke dariche nigah mein
'usha' dilon ki tera fazaen nibhaun main
Ghazal
Kuchh to mohabbaton ki wafaen nibhaun main
Usha Bhadoriya