kuchh to kah wasl ki phir raat chali jati hai 
din guzar jaen hain par baat chali jati hai 
rah gae gah tabassum pe gahe baat hi par 
bare ai ham-nashin auqat chali jati hai 
Tuk to waqfa bhi kar ai gardish-e-dauran ki ye jaan 
umr ke haif hi kya sat chali jati hai 
yan to aati nahin shatranj-zamana ki chaal 
aur wan bazi hui mat chali jati hai 
roz aane pe nahin nisbat-e-ishqi mauquf 
umr bhar ek mulaqat chali jati hai 
shaiKH-e-be-nafs ko nazla nahin hai nak ki rah 
ye hai jiryan-e-mani dhat chali jati hai 
KHirqa mindil o rida mast liye jate hain 
shaiKH ki sari karamat chali jati hai 
hai muazzin jo baDa murgh musalli us ki 
maston se nok hi ki baat chali jati hai 
panw rukta nahin masjid se dam-e-aKHir bhi 
marne par aaya hai par lat chali jati hai 
ek hum hi se tafawut hai sulukon mein 'mir' 
yun to auron ki mudaraat chali jati hai
        Ghazal
Kuchh to kah wasl ki phir raat chali jati hai
Mir Taqi Mir

