kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi
dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi
baat wo aadhi raat ki raat wo pure chand ki
chand bhi ain chait ka us pe tera jamal bhi
sab se nazar bacha ke wo mujh ko kuchh aise dekhta
ek dafa to ruk gai gardish-e-mah-o-sal bhi
dil to chamak sakega kya phir bhi tarash ke dekh len
shisha-giran-e-shahr ke hath ka ye kamal bhi
us ko na pa sake the jab dil ka ajib haal tha
ab jo palaT ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi
meri talab tha ek shaKHs wo jo nahin mila to phir
hath dua se yun gira bhul gaya sawal bhi
us ki suKHan-taraaziyan mere liye bhi Dhaal thin
us ki hansi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi
gah qarib-e-shah-rag gah baid-e-wahm-o-KHwab
us ki rafaqaton mein raat hijr bhi tha visal bhi
us ke hi bazuon mein aur us ko hi sochte rahe
jism ki KHwahishon pe the ruh ke aur jal bhi
sham ki na-samajh hawa puchh rahi hai ek pata
mauj-e-hawa-e-ku-e-yar kuchh to mera KHayal bhi
Ghazal
Kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi
Parveen Shakir