kuchh to hain paikar pareshan aazaron ke darmiyan
aur kuchh aazar pareshan pattharon ke darmiyan
sab KHabar hote hue pir-e-mughan hai be-KHabar
tishnagi ka ghalghala hai sagharon ke darmiyan
bhiD ki be-chehragi mein hain kai chehre nihan
chand sar wale bhi hain in be-saron ke darmiyan
aao sab ek roz mil baiThen ye sochen kyun hui
is qadar bechaargi chaaragaron ke darmiyan
hadson ke shahr mein ek hadsa ye bhi hua
ek shisha aa gaya hai pattharon ke darmiyan
ja-e-hairat is nai tahzib mein maujud hai
ek purana sa khanDar unche gharon ke darmiyan
wo to bhaari paD gaya 'betab' ek bichchhu ka Dank
umr warna kaT chuki thi azdahon ke darmiyan

Ghazal
Kuchh to hain paikar pareshan aazaron ke darmiyan
Pritpal Singh Betab