kuchh to hasil ho gaya irfan-e-mai-KHana mujhe
aaj paimane ko main takta hun paimana mujhe
dar par naghmon ka chha jaana koi aasan nahin
saz kya kam tha jo baKHsha soz-e-parwana mujhe
joD Dale kitne saghar kitne mina kitne dil
ek zara jo mil gai thi KHak-e-mai-KHana mujhe
zindagi apni haqiqat hi haqiqat thi magar
aaj duniya ne bana Dala hai afsana mujhe
rishta-e-derina-e-wahshat na TuTa aaj tak
yaad virane ko main karta hun virana mujhe
subh-e-kaba sham-e-but-KHana ki hai mujh ko talash
DhunDhti hai subh-e-kaba sham-e-but-KHana mujhe

Ghazal
Kuchh to hasil ho gaya irfan-e-mai-KHana mujhe
Raza Jaunpuri