kuchh to ai yar ilaj-e-gham-e-tanhai ho
baat itni bhi na baDh jae ki ruswai ho
Dubne wale to aankhon se bhi kab nikle hain
Dubne ke liye lazim nahin gahrai ho
jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakkha hai
ab zaruri hai wahi shaKHs tamashai ho
main mohabbat mein luTa baiTha hun dil ki duniya
kaam ye aisa bhi kab hai ki pazirai ho
ajnabi tum se koi baat jo kar li main ne
log kahne lage harjai ho harjai ho
koi anjaan na ho shahr-e-mohabbat ka makin
kash har dil ki har ek dil se shanasai ho
main mohabbat ko chhupata raha lekin be-sud
baat chhupti hai kahan jis mein ki sachchai ho
aaj to bazm mein har aankh thi pur-nam jaise
dastan meri kisi ne yahan dohrai ho
main tujhe jit bhi tohfe mein nahin de sakta
chahta ye bhi nahin hun teri paspai ho
ab ke sawan to barasta hua yun lagta hai
aasman par bhi tere gham ki ghaTa chhai ho
yun guzar jata hai 'imrran' tere kuche se
tera waqif na ho jaise koi saudai ho
Ghazal
Kuchh to ai yar ilaj-e-gham-e-tanhai ho
Imran Shanawar