kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe
dil mera aql se phir aankh churana chahe
apne haalat koi mujh ko sunana chahe
aur wo ek baat jo mujh se hi chhupana chahe
meri KHwahish ki teri yaad se ghafil na rahun
fikr-e-duniya teri yaadon ko miTana chahe
zehn duniya ki haqiqat ko samajhne pe musir
dil ki bas KHwabon ki basti mein Thikana chahe
main akela to nahin us ki ada ka mahsur
kuchh sabab hai ke use sara zamana chahe
jis ko duniya se hai aashufta-mizaji ka gila
wo bhi is aalam-e-fani se na jaana chahe
hum ne KHaliq ki raza par kahan toli har baat
bas wahi karte hain jo nafs karana chahe
kaun pahchane hai 'shaarib' tujhe is wadi mein
bin taaruf to koi yan se na jaana chahe
Ghazal
Kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe
Syed Iqbal Rizvi Sharib