kuchh taghayyur mere ahwal-e-pareshan mein nahin
aise aalam mein hun jo aalam-e-imkan mein nahin
subh-e-mahshar bhi dikhai nahin deti yarab
roz-e-bad bhi to nasib-e-shab-e-hijran mein nahin
wahshat-e-ishq ko sabit-qadami bhi hai zarur
qais ka naqsh-e-qadam tak to bayaban mein nahin
ho gaya zauq faza-e-KHalish-e-yaad-e-mizha
kaun kahta hai ki lazzat tere paikan mein nahin
dasht-e-wahshat mein uDe phirte hain aaram se hum
jo sifat zoaf mein hai taKHt-e-sulaiman mein nahin

Ghazal
Kuchh taghayyur mere ahwal-e-pareshan mein nahin
Salik Dehlvi