kuchh taghaful hai to kuchh naz-o-ada-kari hai
qahr ka qahr hai dildari ki dildari hai
iltifat-e-nigah-e-naz se bach kar rahna
jazba-e-ishq tere qatl ki tayyari hai
shafqaten zinda hain iKHlas ki buniyaadon par
ab bhi kuchh logon mein pahle si rawadari hai
yahi tahzib to wirse mein mili hai mujh ko
tum ana samjhe ho jis ko meri KHuddari hai
silsila KHatm hijabaat ka hota hi nahin
aaina dekhne wale ko bhi dushwari hai
aaj ki raat hai tufan ke aane ki KHabar
aaj ki raat charaghon pe bahut bhaari hai
log KHush-fahm hain ya KHwab-gazida 'alam'
jagte rahne ko samjhe hain ki bedari hai

Ghazal
Kuchh taghaful hai to kuchh naz-o-ada-kari hai
Seen Sheen Alam