kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui
shahr bhar mein hai udasi har taraf chhai hui
hae-re ghaarat-gar-e-sabr-o-shakebai hui
wo teri tirchhi nazar wo aankh sharmai hui
ai saba chalti hai kyun is darja itrai hui
kya nahin hai tu wahi us gul ki Thukrai hui
wasl mein achchhi tarah jab baada-paimai hui
uD gai kafur ban ban kar haya aai hui
shab ko jab abru-o-mizhgan ki saf-arai hui
shoKHiyon mein dab gai sharm-o-haya aai hui
hae meri be-qarari aur un ka iztirab
aur chalte waqt ki baaten wo ghabrai hui
qabr tak pahuncha gae sare aziz-o-aqriba
aage aage phir rafiq-e-rah tanhai hui
han tumhin par jaan deta hun tumhin par hun nisar
han tumhin par hai tabiat TuT kar aai hui
TukDe TukDe hain jigar ke shisha-e-dil chur-chur
ye qayamat hai tumhaari chaal ki Dhai hui
jis mein taqat hai na harakat hai na KHwahish hai na jaan
dil nahin ek lash hai sine mein dafnai hui
baiThte hi baiThte mahfil mein be-KHud ho gaya
dekhte hi dekhte ruKHsat tawanai hui
KHub rone do ki ye roke se ruk sakta nahin
mere dil par hai abhi gham ki ghaTa chhai hui
aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa
us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui
minnaten karta hun dar-guzro KHudara baKHsh do
ab to nadani hui ya mujh se danai hui
shikwa-e-wada-KHilafi ka mila achchha jawab
peshgi rakkhi thi ek ummid bar aai hui
hur par meri tabiat aae kya maqdur hai
tauba tauba ye bhi teri tarah harjai hui
KHud hi socho dekhne walon ka is mein kya qusur
jab tamasha tum hue KHilqat tamashai hui
rote rote Thahr jata hun teri sar ki qasam
yaad aa jati hai jab wo baat samjhai hui
de ke dil ghusse mein wapas un ko pachhtana paDa
kya raqam jati rahi hai hath se aai hui
KHush-nasibi us jagah ki tu jahan rakkhe qadam
rail bhi phirti hai station par itrai hui
jab kaha us ne ki marta hun to kosa is tarah
tujh ko aae ya-ilahi ghair ki aai hui
rabt baDhne par khula karta hai kuchh achchha bura
is se kiya hota hai gar rasmi shanasai hui
ishq-bazi aur shai hai fisq hai kuchh aur chiz
nek-nami ko na kah 'parwin' ki ruswai hui
Ghazal
Kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui
Parveen Umm-e-Mushtaq