اردو हिंदी
Kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage | Shaahi Shayari
kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage

Ghazal

Kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage

Kabir Ajmal

;

kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage
us se rishta bhi raha wahm o guman se aage

le ke pahunchi hai kahan sim-badan ki KHwahish
kuchh ilaqa na raha sud-o-ziyan se aage

KHwab-zaron mein wo chehra hai numu ki surat
aur ek fasl ugi rishta-e-jaan se aage

kab talak apni hi sanson ka chukata rahun qarz
ai meri aankh koi KHwab dhuan se aage

shaKH-e-ehsas pe khilte rahe zaKHmon ke gulab
kis ne mahsus kiya shorish-e-jaan se aage

jab bhi bol uTThenge tanhai mein likkhe hue harf
phailte jaenge naqus o azan se aage

jis ki kirnon se ujala hai lahu mein 'ajmal'
jal raha hai wo diya kahkashan se aage