kuchh sukun paun jo is sahn-e-makan se chhuTun
phir naya ek safar ho main jahan se chhuTun
sare ehsas se har sud-o-ziyan se chhuTun
ho ke KHamosh gunahan-e-bayan se chhuTun
tund-KHu tazi-e-be-bak KHiraman ki qasam
kash raftar-o-ram-o-raKHsh-e-rawan se chhuTun
muzmahil ho ke Thaharne nahin deti surat
kash aazad ho tausan ki inan se chhuTun
zikr kuchh dil ka na kuchh baat tamannaon ki
KHushk aankhen hon main iza-e-fughan se chhuTun
raqs ho aatish-e-sayyal ka aur KHak hun main
gardish-e-sham-o-sahar dahar-o-zaman se chhuTun
taer-e-ruh har ek gosha-e-jaan dekhta hai
jism se jaan se kis dar se kahan se chhuTun
chhuTun 'farhat' se aziyyat se sukun se gham se
na-tawani se sahi tab-o-tawan se chhuTun

Ghazal
Kuchh sukun paun jo is sahn-e-makan se chhuTun
Farhat Nadir Rizwi