kuchh soch ke izhaar-e-KHayalat na karna
har baat ko sunna wo tera baat na karna
aisa na ho dar-asl tumhein apna samajh len
is darja gharibon ki mudaraat na karna
hai farq maraatib ke liye sara zamana
maiKHane mein tauhin-e-musawat na karna
ek farz hai tazim-e-rawayat ba-har-taur
ek farz hai tarmim-e-riwayat na karna
paimana-ba-kaf jab ho jawani ki hikayat
is bab mein sanjida sawalat na karna
ek bar tawajjoh se koi baat to sun lo
phir chahe kabhi hum se mulaqat na karna
aasan hai jaan dena kisi baat pe 'nuri'
dushwar hai izhaar-e-KHayalat na karna
Ghazal
Kuchh soch ke izhaar-e-KHayalat na karna
Karrar noori

