اردو हिंदी
Kuchh sarguzisht kah na sake ru-ba-ru qalam | Shaahi Shayari
kuchh sarguzisht kah na sake ru-ba-ru qalam

Ghazal

Kuchh sarguzisht kah na sake ru-ba-ru qalam

Shah Naseer

;

kuchh sarguzisht kah na sake ru-ba-ru qalam
gardish-nasib roz-e-azal se hai tu qalam

kaghaz ka tao kya hai tere ru-ba-ru qalam
aisa hi yani pir ka neza hai tu qalam

zalim nahin tu harf-e-mohabbat se aashna
mashq-e-sitam se sharm kar ai jang-ju qalam

kya KHama likh sake sifat-e-zulf-e-mushk-bar
shore ke bhi hue hain kahin mushk-bu qalam

nama par-e-huma ho mera ai shah-e-butan
likho gar ustuKHan se bana kar kabhu qalam

qatil ko main ne KHat nahin shanjarf se likha
kis wajh se hua hai tu ab surKH-ru qalam

yani ki us ke ishq mein is dam mila hai yan
munh se lahu laga ke shahidon mein tu qalam

likh aur ek ghazal ki shagufta zamin hai
le kar 'nasir' ab ye lab-e-abju qalam