اردو हिंदी
Kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka | Shaahi Shayari
kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka

Ghazal

Kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka

Zafar Iqbal

;

kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka
khel khela hua ye us ko bhula dene ka

apne hi samne diwar bana baiTha hun
hai ye anjam use raste se haTa dene ka

yunhi chup chap guzar jaiye in galiyon se
yahan kuchh aur hi matlab hai sada dene ka

rasta rokna maqsad nahin kuchh aur hai ye
darmiyan mein koi diwar uTha dene ka

aane walon ko tariqa mujhe aata hai bahut
jaane walon ke taaqub mein laga dene ka

ek maqsad to hua DhunDna us ko har-su
lutf hi aur hai pane se ganwa dene ka

ek hunar pas tha apne so nahin ab wo bhi
jo dikhai nahin deta hai dikha dene ka

sab ko malum hai aur hausla rakhta hun abhi
apne likkhe hue ko KHud hi miTa dene ka

TuT paDti hai qayamat koi pahle hi 'zafar'
qasd karta hun jo fitne ko jaga dene ka