kuchh sae se har lahza kisi samt rawan hain
is shahr mein warna na makin hain na makan hain
hum KHud se juda ho ke tujhe DhunDne nikle
bikhre hain ab aise ki yahan hain na wahan hain
jati hain tere ghar ko sabhi shahr ki saDken
lagta hai ki sab log teri samt rawan hain
ai mauj-e-awara kabhi hum se bhi Takra
ek umr se hum bhi sar-e-sahil nigaran hain
to DhunDh hamein waqt ki diwar ke us par
hum dur bahut dur ki manzil ka nishan hain
simTe the kabhi hum to samae sar-e-mizhgan
phaile hain ab aise ki karan-ta-ba-karan hain
ek din tere aanchal ki hawa ban ke uDe the
us din se zamane ki nigahon se nihan hain
toDo na hamare liye aawaz ka aahang
hum log to ek Dubte lamhe ki fughan hain

Ghazal
Kuchh sae se har lahza kisi samt rawan hain
Rasheed Qaisrani