kuchh rup-nagar ka zikr karo kuchh rang-mahal ki baat karo
rangin faza hai mahfil ki rangin ghazal ki baat karo
rindon ko na ab Talon kal par rindon se na kal ki baat karo
tum aaj hamare saqi ho tum aaj na halki baat karo
hai subh-e-banaras rup us ka to sham-e-awadh gesu us ke
wo meri ghazal hai meri ghazal tum meri ghazal ki baat karo
taqrir ki lazzat be-mani tahrir ki nudrat la-hasil
ye fikr-o-amal ki hai duniya kuchh fikr-o-amal ki baat karo
baiThe ho 'aziz' apne aise ahbab ki rangin mahfil mein
tauba ke tasawwur se pahle iman ke KHalal ki baat karo
Ghazal
Kuchh rup-nagar ka zikr karo kuchh rang-mahal ki baat karo
Aziz Warsi