kuchh roz main is KHak ke parde mein rahunga
phir dur kisi nur ke haale mein rahunga
rakkhunga kabhi dhup ki choTi pe rihaish
pani ki tarah abr ke TukDe mein rahunga
ye shab bhi guzar jaegi taron se bichhaD kar
ye shab bhi main kohsar ke darre mein rahunga
suraj ki tarah maut mere sar pe rahegi
main sham talak jaan ke KHatre mein rahunga
ubhregi mere zehn ke KHaliyon se nai shakl
kab tak main kisi barf ke malbe mein rahunga
Ghazal
Kuchh roz main is KHak ke parde mein rahunga
Rafiq Sandelvi