kuchh raaz hain aise jo KHabar tak nahin pahunche
aise bhi hain jalwe jo nazar tak nahin pahunche
ek lamhe ko aaya tha sar-e-bazm wo KHush-ru
jo ghar se gae dekhne ghar tak nahin pahunche
chhoTe the jo qamat mein jinhen jhuk ke mila tha
un hathon ke patthar mere sar tak nahin pahunche
is gard se niklo ki safar ka kare aaghaz
yaro tum abhi rahguzar tak nahin pahunche
har-chand ki dar chhoD ke tera hue ruswa
lekin kabhi hum ghair ke dar tak nahin pahunche
kya jaaniye kin logon ki qismat mein hon 'arif'
wo phal jo abhi shaKH-e-shajar tak nahin pahunche
Ghazal
Kuchh raaz hain aise jo KHabar tak nahin pahunche
Manzoor Arif