اردو हिंदी
Kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha | Shaahi Shayari
kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha

Ghazal

Kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha

Faiz Ahmad Faiz

;

kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha
kya raushan ho jati thi gali jab yar hamara guzre tha

the kitne achchhe log ki jin ko apne gham se fursat thi
sab puchhen the ahwal jo koi dard ka mara guzre tha

ab ke KHizan aisi Thahri wo sare zamane bhul gae
jab mausam-e-gul har phere mein aa aa ke dobara guzre tha

thi yaron ki bohtat to hum aghyar se bhi bezar na the
jab mil baiThe to dushman ka bhi sath gawara guzre tha

ab to hath sujhai na dewe lekin ab se pahle to
aankh uThte hi ek nazar mein aalam sara guzre tha