kuchh naya kaam nae taur se karne ke liye
log mauqa hi nahin dete sudharne ke liye
jao ja kar ke gharibon ke dilon mein jhanko
kitni bechain tamannaen hain marne ke liye
us pe marte ho to phir duniya ki parwa kaisi
ishq hota hai miyan had se guzarne ke liye
koi aasani se fankar nahin banta hai
muddaten chahiye ek fan ko nikharne ke liye
munh uTha kar ke phir aai hai ye tauba tauba
shab judai ki mere ghar mein Thaharne ke liye
kisi doshiza ki zulfen ye nahin qismat hai
waqt lagta hai bahut us ko sanwarne ke liye
aaj is baat ka ehsas hua hai mujh ko
KHwab 'mohsin' the mere sirf bikharne ke liye
Ghazal
Kuchh naya kaam nae taur se karne ke liye
Mohsin Aftab Kelapuri