kuchh nahin samjha hun itna muKHtasar paigham tha
kya hawa thi jis hawa ke hath par paigham tha
us ko aana tha ki wo mujh ko bulata tha kahin
raat bhar barish thi us ka raat bhar paigham tha
lene wala hi koi baqi nahin tha shahr mein
warna to us sham koi dar-ba-dar paigham tha
muntazir thi jaise KHud hi tinka tinka aarzu
KHar-o-KHas ke waste goya sharar paigham tha
kya musafir the ki the ranj-e-safar se be-niyaz
aane jaane ke liye ek rah-guzar paigham tha
koi kaghaz ek maile se lifafe mein tha band
khol kar dekha to us mein sar-ba-sar paigham tha
har qadam par raston ke rang the bikhre hue
chalne walon ke liye apna safar paigham tha
kuchh sifat us mein parindon aur patton ki bhi thi
kitni shadabi thi aur kaisa shajar paigham tha
aur to laya na tha paigham sath apne 'zafar'
jo bhi tha us ka yahi aib o hunar paigham tha
Ghazal
Kuchh nahin samjha hun itna muKHtasar paigham tha
Zafar Iqbal