kuchh nahin qil-o-qal mein ai dost
mast rah apne haal mein ai dost
zindagi us ka zikr sunte hi
aa gai ishtial mein ai dost
sans lena muhaal hai yun bhi
aur aise wabaal mein ai dost
kis qabile ke log hain hum log
KHush hain yani zawal mein ai dost
teri surat dikhai paDti hai
kya ghazal kya ghazal mein ai dost
yaad-e-mazi mein umr kaT jae
KHak hai mah-o-sal mein ai dost
sach kahun to jawab rakkha hai
aap hi ke sawal mein ai dost
koi 'mahmud' sa agar hai to
pesh kije misal mein ai dost
Ghazal
Kuchh nahin qil-o-qal mein ai dost
Mahmood Azhar