kuchh nahin likkha hua phir bhi paDha jata hai kya
aisi na-maujud ko duniya kaha jata hai kya
ham-suKHan tere muKHatab ka pata kaise karun
bolna tha kya tujhe aur bolta jata hai kya
ek darwaza aur andar dur tak koi nahin
aate jate jhank lene se tera jata hai kya
is andhere mein paDe ek shaKHs ko dekha kabhi
panw se Takrae to banhon mein aa jata hai kya
hum idhar hain hashr uTha dete hain jab uThti hai lahr
tum udhar ho hath uTha do sab suna jata hai kya
main ki tera tisra gham hun so ye gham bhi to kar
tu ki bas hone na hone par mara jata hai kya
Ghazal
Kuchh nahin likkha hua phir bhi paDha jata hai kya
Shaheen Abbas

