kuchh nahin hota shab bhar sochon ka sarmaya hota hai
hum ne sehn ke ek kone mein diya jalaya hota hai
sham-e-tarab ke lamho is ko mat aawazen diya karo
raat ne apne sar par gham ka bojh uThaya hota hai
jalte hain to peD hi jalte hain suraj ki hiddat se
phulon par to patton ki ThanDak ka saya hota hai
main ne aaj talak na dekha pau phaTne ka manzar tak
jab bhi so kar uThta hun to baadal chhaya hota hai
kis ne kaha hai diwaron par saya karta hai suraj
diwaron par diwaron ka apna saya hota hai
un logon se puchhe koi sher ka rutba aur shuur
jin logon ne ghazal ko apna KHun pilaya hota hai
shahr ke log bhi shahr ke hangamon mein gum hote hi 'adim'
basti walon ne bhi koi rog lagaya hota hai
Ghazal
Kuchh nahin hota shab bhar sochon ka sarmaya hota hai
Azraq Adeem