kuchh nahin hai magar hai ye duniya
apni apni nazar hai ye duniya
apne markaz pe raqs karti hui
ek musalsal safar hai ye duniya
ek parinde ki zad mein aai hui
ek parinde ka ghar hai ye duniya
main jidhar hun udhar to bas main hun
tu jidhar hai udhar hai ye duniya
is tarah subh ko lagati hai
jaise taza KHabar hai ye duniya
Ghazal
Kuchh nahin hai magar hai ye duniya
Nazim Naqvi