اردو हिंदी
Kuchh nahin hasil sipar ko chir ko ya talwar toD | Shaahi Shayari
kuchh nahin hasil sipar ko chir ko ya talwar toD

Ghazal

Kuchh nahin hasil sipar ko chir ko ya talwar toD

Muneer Shikohabadi

;

kuchh nahin hasil sipar ko chir ko ya talwar toD
hai agar taqat to mere aansuon ka tar toD

teri chashm o zulf se sauda-e-ham-chashmi kiya
ai sanam baadam-e-chashm-e-ahu-e-tatar toD

zulf mein moti pirona mere haq mein zahr hai
aaj ai mashshata-e-dandan dahan-e-yar toD

silsila gabr-o-musalman ki adawat ka miTa
ai pari be-parda ho kar subha-o-zunnar toD

kibr bhi hai shirk ai zahid muwahhid ke huzur
le ke tesha KHaksari ka but-e-pindar toD

aab-e-gauhar se badan ki aab hoti hai KHarab
bojh hai ai naznin ye motiyon ka haar toD

sharm kab tak ai pari la hath kar iqrar-e-wasl
apne dil ko saKHt kar ke rishta-e-inkar toD

sabr kab tak rah paida ho ki ai dil jaan jae
ek Takkar mar kar sar phoD ya diwar toD

ai zuleKHa naqd-e-jaan hum den laga tu ganj-e-zar
qimat-e-yusuf ka ho jae sar-e-bazar toD

wasf-e-chashm-e-yar likhne ke liye ai dast-e-shauq
chal kisi gulshan mein shaKH-e-nargis-e-bimar toD

chaDh ke koThe par dikha de apne abru mein shikan
ai pari-paikar halak-e-charKH ki talwar toD

aaina hai mane-e-nazzara-e-husn-o-jamal
ho sake to sadd-e-askandar ko ai dildar toD

mane-e-masti ko bad-masti dikhana chahiye
mohtasib ka shisha-e-dil ai bu-e-mai-KHwar toD

husn-e-peshani se qasr-e-charKH ko barbaad kar
lauh-e-quran se tilism-e-gumbad-e-dawwar toD

nam ko ai dil na rakh asbab-e-islah-e-junun
wadi-e-wahshat mein chal kar nashtar-e-har-KHar toD

aankhen phoD us ki jo dekhe be-ijazat munh tera
shauq se ai mast jam-e-sharbat-e-didar toD

ishq-e-zulf-e-ambar-afshan ka na TuTe silsila
panw ki zanjir ai dast-e-junun sau bar toD

sail-e-bosa hain un ko dekh chashm-e-qahr se
aankh ke Dhelon se ai but KHatir-e-aghyar toD

husn-e-gham mein ek muddat se muqayyad hai 'munir'
fikr-e-duniya ka hisar ai haidar-e-karrar toD