kuchh nae KHwab har ek fasl mein pale gae hain
hum isi jurm mein basti se nikale gae hain
abhi zanjir-e-junun panw mein Dale gae hain
dekh kis samt tere chahne wale gae hain
kaun is shahr-e-charaghan mein abhi aaya tha
dur tak us ke taaqub mein ujale gae hain
hakim-e-waqt ke qadmon pe sabhi ibn-ul-waqt
rakh ke dastar ko sar apna bacha le gae hain
tirgi kyun na mere KHana-e-hasti mein rahe
wo sabhi jalte charaghon ko uTha le gae hain
kya kahen guzre hue waqt ke bare mein 'salim'
saKHat mushkil se dil-o-jaan ye sambhaale gae hain

Ghazal
Kuchh nae KHwab har ek fasl mein pale gae hain
Saleem Faraz