kuchh na kuchh ishq ki tasir ka iqrar to hai
us ka ilzam-e-taghaful pe kuchh inkar to hai
har fareb-e-gham-e-duniya se KHabar-dar to hai
tera diwana kisi kaam mein hushyar to hai
dekh lete hain sabhi kuchh tere mushtaq-e-jamal
KHair didar na ho hasrat-e-didar to hai
marke sar hon usi barq-e-nazar se ai husn
ye chamakti hui chalti hui talwar to hai
sar paTakne ko paTakta hai magar ruk ruk kar
tere wahshi ko KHayal-e-dar-o-diwar to hai
ishq ka shikwa-e-beja bhi na bekar gaya
na sahi jaur magar jaur ka iqrar to hai
tujh se himmat to paDi ishq ko kuchh kahne ki
KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai
is mein bhi rabta-e-KHas ki milti hai jhalak
KHair iqrar-e-mohabbat na ho inkar to hai
kyun jhapak jati hai rah rah ke teri barq-e-nigah
ye jhijak kis liye ek kushta-e-didar to hai
kai unwan hain mamnun-e-karam karne ke
ishq mein kuchh na sahi zindagi be-kar to hai
sahar-o-sham sar-e-anjuman-e-naz na ho
jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkar to hai
chaunk uThte hain 'firaq' aate hi us shoKH ka nam
kuchh sarasimgi-e-ishq ka iqrar to hai
Ghazal
Kuchh na kuchh ishq ki tasir ka iqrar to hai
Firaq Gorakhpuri