اردو हिंदी
Kuchh na kuchh ho to sahi anjuman-arai ko | Shaahi Shayari
kuchh na kuchh ho to sahi anjuman-arai ko

Ghazal

Kuchh na kuchh ho to sahi anjuman-arai ko

Shahzad Ahmad

;

kuchh na kuchh ho to sahi anjuman-arai ko
apne hi KHun se firozan karo tanhai ko

ab ye aalam hai ki biti hui barsaton ki
apne hi jism se bu aati hai saudai ko

pas pahunche to bikhar jaega afsun sara
dur hi dur se sunte raho shahnai ko

kisi zindan ki taraf aaj hawa ke jhonke
pa-ba-zanjir liye jate hain saudai ko

kis mein taqat hai ki gulshan mein muqayyad kar le
is qadar dur se aai hui purwai ko

wo dahakta hua paikar wo achhuti rangat
chum le jaise koi lala-e-sahrai ko

bahut aazurda ho 'shahzad' to khul kar ro lo
hijr ki raat hai chhoDo bhi shakebai ko