kuchh na kuchh ahd-e-mohabbat ka nishan rah jae
aag bujhti hai to bujh jae dhuan rah jae
dasht-dar-dasht uDe mera ghubar-e-hasti
aab-bar-ab mera nam-o-nishan rah jae
muntazir kaun hai kis ka ye use kya malum
us ki manzil hai wahi jo bhi jahan rah jae
yun to kahne ko bahut kuchh tha ghazal mein lekin
lutf ki baat wahi hai jo nihan rah jae
Ghazal
Kuchh na kuchh ahd-e-mohabbat ka nishan rah jae
Prem Kumar Nazar

