kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya
dar-ba-dar uftad se khele zulf-ba-zulf aaram kiya
sawan shoale bhaDke gulshan gulshan aag lagi
kaisa suraj ubhra jis ne subh ko aatish-nam kiya
tanhai bhi sannaTe bhi dil ko Daste jate hain
rahgiro kis des mein aa kar hum ne aaj qayam kiya
qarya-e-gul se dasht-e-bala tak ahl-e-hawas ki yurish thi
kuchh to samajh kar diwanon ne tark-e-jada-e-am kiya
raat ke hathon kab tak rahta shahr-e-nigaran tira-o-tar
apne lahu se hum ne charaghan aaKHir gam-ba-gam kiya
aish bhi guzre ranj bhi guzre dil ki haalat ek rahi
kab jashn-e-aghaz manaya kab KHauf-e-anjam kiya
'mir' ke gyani lakhon dekhe 'mir' si kis mein baat 'uruj'
meri biti aap ne kah len KHud ko abas badnam kiya
Ghazal
Kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya
Abdur Rauf Urooj