اردو हिंदी
Kuchh maine kahi hai na abhi usne suni hai | Shaahi Shayari
kuchh maine kahi hai na abhi usne suni hai

Ghazal

Kuchh maine kahi hai na abhi usne suni hai

Arzoo Lakhnavi

;

kuchh main ne kahi hai na abhi us ne suni hai
chitwan hai ki talwar liye sar pe khaDi hai

aane ko hai koi jo lalak phir se hui hai
Dube hue suraj ki kiran phuT rahi hai

hai pighli hui aag ki jalte hue aansu
luka wahin uTha hai jahan bund paDi hai

jab sukh nahin jine mein to ek rog hai jina
sans aai hai jab choT kaleje mein lagi hai

kal kya kahen dekhin wo badalti hui chitwan
sau aasare TuTe hain to ek aas bandhi hai

main kuchh na kahun aur wo jo chahe kahe jaen
ab roki hui sans gala ghunT rahi hai

kahne ko to aati hai unhen han bhi nahin bhi
ho jis pe bharosa na wahi hai na yahi hai

ubhre hue chhaale hain hai roka hua aansu
bas bujh chuki ye aag ki pani se lagi hai