kuchh lag kuchh lagaw mohabbat mein chahiye
donon tarah ka rang tabiat mein chahiye
ye kya ki but bane hue baiThe ho bazm mein
kuchh be-takallufi bhi to KHalwat mein chahiye
wo ibtida-e-ishq mein hasil hui mujhe
jo baat intiha-e-mohabbat mein chahiye
aaenge be-shumar farishte azab ke
maidan-e-hashr ghair ki turbat mein chahiye
kuchh to paDe dabao dil-e-be-qarar par
para bhara hua meri turbat mein chahiye
mashuq ke kahe ka bura mante ho 'dagh'
bardasht aadmi ki tabiat mein chahiye
Ghazal
Kuchh lag kuchh lagaw mohabbat mein chahiye
Dagh Dehlvi