اردو हिंदी
Kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha | Shaahi Shayari
kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha

Ghazal

Kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha

Manzoor Hashmi

;

kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha
wo nahin tha to use yaad to kar lena tha

kuchh uDanon ke liye apne paron ko pahle
jumbish o jast se aazad to kar lena tha

phir zara dekhte tasir kise kahte hain
dil ko bhi shamil-e-fariyaad to kar lena tha

koi tamir ki surat bhi nikal hi aati
pahle is shahr ko barbaad to kar lena tha

qais ke baad ghazalan ki tasalli ke liye
'hashmi' dasht ko aabaad to kar lena tha