اردو हिंदी
Kuchh KHak se hai kaam kuchh is KHak-dan se hai | Shaahi Shayari
kuchh KHak se hai kaam kuchh is KHak-dan se hai

Ghazal

Kuchh KHak se hai kaam kuchh is KHak-dan se hai

Zulfiqar Aadil

;

kuchh KHak se hai kaam kuchh is KHak-dan se hai
jaana hai dur aur guzarna yahan se hai

dil apni raegani se zinda hai ab talak
aabaad ye jahan bhi ghubar-e-jahan se hai

bas KHak paD gai hai badan par zamin ki
warna mushabahat to meri aasman se hai

dil bhi yahi hai waqt bhi manzar bhi nind bhi
jaana kahan hai KHwab mein jaana kahan se hai

ek dastan qadim hai ek dastan daraaz
hai sham jis ka nam wo kis dastan se hai

wabasta mez-posh ke phulon ki zindagi
mehman se hai mez se hai mezban se hai