kuchh kam to hua ranj-e-farawan-e-tamanna
aaghaz-e-junun go nahin payan-e-tamanna
phir yas ne rakkha hai qadam KHana-e-dil mein
yani hai ab allah nigahban-e-tamanna
go chaak hua dil magar arman na nikle
be-faeda khola dar-e-zindan-e-tamanna
afsana mera KHwab-e-zuleKHa-e-mohabbat
jalwa hai tera yusuf-e-kanan-e-tamanna
juz wada-e-baatil nahin buniyaad kuchh us ki
dil kanp uTha dekh ke aiwan-e-tamanna
ek jaan hai wo KHair se warafta-e-gham hai
ek dil hai so hai soKHta-saman-e-tamanna
'fani' ka dam ek din tere qadmon pe nikal jae
dil ki ye tamanna hai ab ai jaan-e-tamanna
Ghazal
Kuchh kam to hua ranj-e-farawan-e-tamanna
Fani Badayuni