kuchh kam nahin hain shama se dil ki lagan mein hum
fanus mein wo jalti hai yan pairahan mein hum
hain tufta-jaan mufaraqat-e-gul-badan mein hum
aisa na ho ki aag laga den chaman mein hum
gum honge bu-e-zulf-e-shikan-dar-shikan mein hum
qabza karenge chin ko le kar KHutan mein hum
gar ye hi chheD dast-e-junun ki rahi to bas
mar kar bhi sina chaak karenge kafan mein hum
mahw-e-KHayal-e-zulf-e-butan umr bhar rahe
mashhur kyun na hon kaho diwana-pan mein hum
honge aziz KHalq ki nazron mein dekhna
gir kar bhi apne yar ke chah-e-zaqan mein hum
chhakke hi chhuT jaenge ghairon ke dekhna
aa nikle han kabhi jo teri anjuman mein hum
ai andalib dawa-e-behuda par kahin
ek aadh gul ka munh na masal den chaman mein hum
aashiq hue hain parda-nashin par bas is liye
rakhte hain soz-e-ishq nihan jaan o tan mein hum
zalim ki sach masal hai ki rassi daraaz hai
misdaq us ka pate hain charKH-e-kuhan mein hum
anqa ka 'aish' nam to hai go nishan nahin
yan wo bhi kho chuke hain talash-e-dahan mein hum
Ghazal
Kuchh kam nahin hain shama se dil ki lagan mein hum
Aish Dehlvi